kab se aadha hai mahtab mera
kab se aadhā hai māhtāb mirā
puurā hotā nahīñ hai ḳhvāb mirā
jis kī chāhat hī ek nekī ho
us pe qurbān har savāb mirā
terī duniyā hai ḳhvāb kī duniyā
merī āñkhoñ meñ hai sarāb mirā
surḳh sā chāñd aur siyāh sī raat
un kī zulfoñ meñ ho gulāb mirā
mujh ko dīvāngī kā hosh nahīñ
hosh hī rah gayā javāb mirā
kab se baiThā huā huuñ chaukhaT pe
jaane kis samt meñ hai baab mirā
taare ginte hue lagā 'āmir'
kuchh bigaḌ hī gayā hisāb mirā
kab se aadha hai mahtab mera
pura hota nahin hai KHwab mera
jis ki chahat hi ek neki ho
us pe qurban har sawab mera
teri duniya hai KHwab ki duniya
meri aankhon mein hai sarab mera
surKH sa chand aur siyah si raat
un ki zulfon mein ho gulab mera
mujh ko diwangi ka hosh nahin
hosh hi rah gaya jawab mera
kab se baiTha hua hun chaukhaT pe
jaane kis samt mein hai bab mera
tare ginte hue laga 'amir'
kuchh bigaD hi gaya hisab mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.