kab se mauhum umidon ka sila rakkha hai
kab se mauhūm umīdoñ kā sila rakkhā hai
terī yādoñ kā bahut ūñchā diyā rakkhā hai
sun ke majbūr-e-tamannā kī sisaktī aaheñ
loriyāñ de ke use dil ne sulā rakkhā hai
umr guzrī hai magar ḳhud se judā kar na sake
bhūlne vaale tirī yaad meñ kyā rakkhā hai
sāqiyā muhr-ba-lab kar ke sila kyā paayā
hashr kuchh aur ḳhamoshī ne bapā rakkhā hai
yaad bhī kar na sake bhuul bhī paa.e na jise
ik vahī ahd vo paimān-e-vafā rakkhā hai
us kī ta.abīr bhalā kaun karegā 'sādiq'
jāgtī āñkhoñ ne jo ḳhvāb sajā rakkhā hai
kab se mauhum umidon ka sila rakkha hai
teri yaadon ka bahut uncha diya rakkha hai
sun ke majbur-e-tamanna ki sisakti aahen
loriyan de ke use dil ne sula rakkha hai
umr guzri hai magar KHud se juda kar na sake
bhulne wale teri yaad mein kya rakkha hai
saqiya muhr-ba-lab kar ke sila kya paya
hashr kuchh aur KHamoshi ne bapa rakkha hai
yaad bhi kar na sake bhul bhi pae na jise
ek wahi ahd wo paiman-e-wafa rakkha hai
us ki tabir bhala kaun karega 'sadiq'
jagti aankhon ne jo KHwab saja rakkha hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 115)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.