kab se phira raha hai junun ku-ba-ku hamein
kab se phirā rahā hai junūñ kū-ba-kū hameñ
kar lo kabhī ḳhudā ke liye rū-ba-rū hameñ
bujhtā huā charāġh hai sūraj ke sāmne
le aa.ī hai kahāñ pe rah-e-ārzū hameñ
karte haiñ ik sarāb se bāteñ ham āj-kal
zamzam kī regzār meñ hai justujū hameñ
Duube haiñ kyoñ anā ke samundar meñ sargirāñ
hastī kī musta.ār milī aabjū hameñ
sub.h-e-azal jo aap hue ham se ham-kalām
yaad aa rahī hai aaj vahī guftugū hameñ
pheñkā thā jo kisī kī taraf ham ne ek din
patthar lagā hai aa ke vahī hū-ba-hū hameñ
kamzor ham hue haiñ ki bachche baḌe hue
dete haiñ vo javāb abhī dū-badū hameñ
hone lagā hai aaj 'hidāyat' nasha haran
karne lagā hai ishq jo be-ābrū hameñ
kab se phira raha hai junun ku-ba-ku hamein
kar lo kabhi KHuda ke liye ru-ba-ru hamein
bujhta hua charagh hai suraj ke samne
le aai hai kahan pe rah-e-arzu hamein
karte hain ek sarab se baaten hum aaj-kal
zamzam ki regzar mein hai justuju hamein
Dube hain kyon ana ke samundar mein sargiran
hasti ki mustaar mili aabju hamein
subh-e-azal jo aap hue hum se ham-kalam
yaad aa rahi hai aaj wahi guftugu hamein
phenka tha jo kisi ki taraf hum ne ek din
patthar laga hai aa ke wahi hu-ba-hu hamein
kamzor hum hue hain ki bachche baDe hue
dete hain wo jawab abhi du-badu hamein
hone laga hai aaj 'hidayat' nasha haran
karne laga hai ishq jo be-abru hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.