kab se qibla-ru baiThe hain harf-e-dua aur main
kab se qibla-rū baiThe haiñ harf-e-duā aur maiñ
ḳhāmoshī ke saath haiñ donoñ merā ḳhudā aur maiñ
ret kī lahroñ se har lamha bāteñ karte haiñ
donoñ dasht ke baasī nikle sannāTā aur maiñ
insānoñ ne ḳhvāb-e-zamīñ ko banjar kar Daalā
chhup chhup kar rote rahte haiñ ye duniyā aur maiñ
kab tak terī yaad junūñ kā saath nibhā.egī
kab tak āḳhir saath raheñge ek sadā aur maiñ
barsoñ se bas ik duuje ke saath safar meñ haiñ
jis raste par tum bichhḌe the vo rastā aur maiñ
apnī apnī taqdīroñ par sab ranjīda haiñ
shabnam aañsū raat sitāre ḳhvāb ghaTā aur maiñ
kab se qibla-ru baiThe hain harf-e-dua aur main
KHamoshi ke sath hain donon mera KHuda aur main
ret ki lahron se har lamha baaten karte hain
donon dasht ke basi nikle sannaTa aur main
insanon ne KHwab-e-zamin ko banjar kar Dala
chhup chhup kar rote rahte hain ye duniya aur main
kab tak teri yaad junun ka sath nibhaegi
kab tak aaKHir sath rahenge ek sada aur main
barson se bas ek duje ke sath safar mein hain
jis raste par tum bichhDe the wo rasta aur main
apni apni taqdiron par sab ranjida hain
shabnam aansu raat sitare KHwab ghaTa aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.