kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par
kab se raazī thā badan be-sar-o-sāmānī par
shab maiñ hairān huā ḳhuun kī tuġhyānī par
ek chahkār ne sannāTe kā toḌā pindār
ek nau-barg hañsā dasht kī vīrānī par
kal bagūle kī tarah us kā badan raqs meñ thā
kis qadar ḳhush thī mirī ḳhaak pareshānī par
mere hoñToñ se jo sūraj kā kināra TuuTā
ban gayā ek sitāra tirī peshānī par
kaun sā shahr-e-sabā fat.h kiyā chāhtā huuñ
log hairāñ haiñ mire kār-e-sulaimānī par
kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par
shab main hairan hua KHun ki tughyani par
ek chahkar ne sannaTe ka toDa pindar
ek nau-barg hansa dasht ki virani par
kal bagule ki tarah us ka badan raqs mein tha
kis qadar KHush thi meri KHak pareshani par
mere honTon se jo suraj ka kinara TuTa
ban gaya ek sitara teri peshani par
kaun sa shahr-e-saba fath kiya chahta hun
log hairan hain mere kar-e-sulaimani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.