kab se shab-e-firaq talash-e-sahar mein hai
kab se shab-e-firāq talāsh-e-sahar meñ hai
sūraj mire nasīb kā lambe safar meñ hai
mahrūmiyoñ kī dhuup se tapte haiñ bām-o-dar
māhaul sāzgār kahāñ mere ghar meñ hai
phir tishnagī hai qaus-e-quzah kā samāñ liye
āb-e-ravāñ hai aañkh meñ sahrā nazar meñ hai
fānūs jagmagā.e hue haiñ makān ke
kaa.ī magar jamī huī dīvār-o-dar meñ hai
sab hī mirī talāsh meñ nikle haiñ har taraf
'tālib' kahīñ chhupā huā apnī nazar meñ hai
kab se shab-e-firaq talash-e-sahar mein hai
suraj mere nasib ka lambe safar mein hai
mahrumiyon ki dhup se tapte hain baam-o-dar
mahaul sazgar kahan mere ghar mein hai
phir tishnagi hai qaus-e-quzah ka saman liye
aab-e-rawan hai aankh mein sahra nazar mein hai
fanus jagmagae hue hain makan ke
kai magar jami hui diwar-o-dar mein hai
sab hi meri talash mein nikle hain har taraf
'talib' kahin chhupa hua apni nazar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.