kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha
kab shauq mirā jazbe se bāhar na huā thā
thā kaun sā qatra jo samundar na huā thā
kyā yaad tirī dil ko mire kar ga.ī tārīk
ik gosha bhī to is kā munavvar na huā thā
kis tarah koī 'ahd-e-vafā mujh se kare aaj
jab roz-e-azal meñ ye muqaddar na huā thā
dīdār kī hasrat hī huī vaj.h-e-ta.assuf
qismat meñ mirī harf-e-mukarrar na huā thā
āñkhoñ meñ jagah us ko milī vaah re taqdīr
vo qatra jo ḳhush-baḳhtī se gauhar na huā thā
ġharqāb huī kashtī-e-hastī lab-e-sāhil
'shākir' to abhī us kā shanāvar na huā thā
kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha
tha kaun sa qatra jo samundar na hua tha
kya yaad teri dil ko mere kar gai tarik
ek gosha bhi to is ka munawwar na hua tha
kis tarah koi 'ahd-e-wafa mujh se kare aaj
jab roz-e-azal mein ye muqaddar na hua tha
didar ki hasrat hi hui wajh-e-tassuf
qismat mein meri harf-e-mukarrar na hua tha
aankhon mein jagah us ko mili wah re taqdir
wo qatra jo KHush-baKHti se gauhar na hua tha
gharqab hui kashti-e-hasti lab-e-sahil
'shakir' to abhi us ka shanawar na hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.