kab suni jaegi sada KHamosh
kab sunī jā.egī sadā ḳhāmosh
haa.e kyūñkar mirā ḳhudā ḳhāmosh
log uñglī uThāne tak bhī aa.e
tū bhī us vaqt thā rahā ḳhāmosh
apnī uñglī lagā.ī hoñToñ ko
aur mujh ko kahā gayā ḳhāmosh
sansanāhaT talak nahīñ koī
raat kaalī huī havā ḳhāmosh
maiñ ne 'mahtāb' zindagī chhoḌī
ya.anī maqtal meñ hai diyā ḳhāmosh
kab suni jaegi sada KHamosh
hae kyunkar mera KHuda KHamosh
log ungli uThane tak bhi aae
tu bhi us waqt tha raha KHamosh
apni ungli lagai honTon ko
aur mujh ko kaha gaya KHamosh
sansanahaT talak nahin koi
raat kali hui hawa KHamosh
main ne 'mahtab' zindagi chhoDi
yani maqtal mein hai diya KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.