kab tak dimagh-e-husn ki naKHwat na jaegi
kab tak dimāġh-e-husn kī naḳhvat na jā.egī
aise to rā.egāñ ye aqīdat na jā.egī
kīkar kī shāḳh ne ye likhā farq-e-qais par
bartī tire junūñ se ri.āyat na jā.egī
mahjūb sā khaḌā huuñ hathelī pe dil liye
is rah se ab kabhī ye ziyārat na jā.egī
dafnā.eñ ham ko dost kitāb-o-qalam samet
zer-e-lahad bhī ziist kī aadat na jā.egī
maskan kiye hue hai kisī kī duā yahāñ
āñkhoñ se jiite jī to ye hairat na jā.egī
'jauhar' gale lago ki milāo hazār haath
likh lo dil-e-shaqī se kudūrat na jā.egī
kab tak dimagh-e-husn ki naKHwat na jaegi
aise to raegan ye aqidat na jaegi
kikar ki shaKH ne ye likha farq-e-qais par
barti tere junun se riayat na jaegi
mahjub sa khaDa hun hatheli pe dil liye
is rah se ab kabhi ye ziyarat na jaegi
dafnaen hum ko dost kitab-o-qalam samet
zer-e-lahad bhi zist ki aadat na jaegi
maskan kiye hue hai kisi ki dua yahan
aankhon se jite ji to ye hairat na jaegi
'jauhar' gale lago ki milao hazar hath
likh lo dil-e-shaqi se kudurat na jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.