Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab tak is pyas ke sahra mein jhulaste jaen

Ummeed Fazli

kab tak is pyas ke sahra mein jhulaste jaen

Ummeed Fazli

MORE BYUmmeed Fazli

    kab tak is pyaas ke sahrā meñ jhulaste jaa.eñ

    ab ye bādal jo uThe haiñ to baraste jaa.eñ

    kaun batlā.e tumheñ kaise vo mausam haiñ ki jo

    mujh se duur raheñ mujh meñ baste jaa.eñ

    ham se āzād-mizājoñ pe ye uftād hai kyā

    chāhte jaa.eñ use ḳhud ko taraste jaa.eñ

    haa.e kyā log ye ābād hue haiñ mujh meñ

    pyaar ke lafz likheñ lahje se Daste jaa.eñ

    aa.ina dekhūñ to ik chehre ke be-rañg nuqūsh

    ek nādīda zanjīr meñ kaste jaa.eñ

    juz mohabbat kise aayā hai mayassar 'ummīd'

    aisā lamha ki jidhar sadiyoñ ke raste jaa.eñ

    kab tak is pyas ke sahra mein jhulaste jaen

    ab ye baadal jo uThe hain to baraste jaen

    kaun batlae tumhein kaise wo mausam hain ki jo

    mujh se hi dur rahen mujh mein hi baste jaen

    hum se aazad-mizajon pe ye uftad hai kya

    chahte jaen use KHud ko taraste jaen

    hae kya log ye aabaad hue hain mujh mein

    pyar ke lafz likhen lahje se Daste jaen

    aaina dekhun to ek chehre ke be-rang nuqush

    ek nadida si zanjir mein kaste jaen

    juz mohabbat kise aaya hai mayassar 'ummid'

    aisa lamha ki jidhar sadiyon ke raste jaen

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 353)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now