kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par
kab tak kareñge jabr dil-e-nā-subūr par
muusā to jā ke baiTh rahe koh-e-tūr par
koī mujhe batā.e ki ab kyā javāb duuñ
vo mujh se uzr karte haiñ mere qusūr par
tālib haiñ jo tire unheñ jannat se kyā ġharaz
paḌtī nahīñ hai aañkh shahīdoñ kī huur par
jalva dikhā.iye hameñ bas uzr ho chukā
jalne ke vāste nahīñ aa.e haiñ tuur par
zāhid bhī is zamāne ke āshiq mizāj haiñ
jiite haiñ us ko dekh ke marte haiñ huur par
ghar kar ga.iiñ na dil meñ mirī ḳhāksāriyāñ
nāzāñ the aap bhī bahut apne ġhurūr par
baḳhshe ga.e na ham se jo do-chār bāda-ḳhvār
bhinkeñgī makkhiyāñ haiñ sharāb-e-tuhūr par
kuchh shoḳhiyoñ ke rañg bhī betābiyoñ meñ haiñ
kis kī nazar paḌī hai dil-e-nā-subūr par
zāhid kī tarah ham ko bhī jannat kī hai talāsh
apnā bhī aa gayā hai dil ik rashk-e-hūr par
rakkhe kahīñ ye shauq-e-rihā.ī mujhe na qaid
taḌpā agar yahīñ to raheñge zarūr par
'beḳhud' na DhūñD koī vasīla najāt kā
ye munhasir hai rahmat-e-rabb-e-ġhafūr par
kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par
musa to ja ke baiTh rahe koh-e-tur par
koi mujhe batae ki ab kya jawab dun
wo mujh se uzr karte hain mere qusur par
talib hain jo tere unhen jannat se kya gharaz
paDti nahin hai aankh shahidon ki hur par
jalwa dikhaiye hamein bas uzr ho chuka
jalne ke waste nahin aae hain tur par
zahid bhi is zamane ke aashiq mizaj hain
jite hain us ko dekh ke marte hain hur par
ghar kar gain na dil mein meri KHaksariyan
nazan the aap bhi bahut apne ghurur par
baKHshe gae na hum se jo do-chaar baada-KHwar
bhinkengi makkhiyan hain sharab-e-tuhur par
kuchh shoKHiyon ke rang bhi betabiyon mein hain
kis ki nazar paDi hai dil-e-na-subur par
zahid ki tarah hum ko bhi jannat ki hai talash
apna bhi aa gaya hai dil ek rashk-e-hur par
rakkhe kahin ye shauq-e-rihai mujhe na qaid
taDpa agar yahin to rahenge zarur par
'beKHud' na DhunD koi wasila najat ka
ye munhasir hai rahmat-e-rabb-e-ghafur par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.