kab tak phirna ghaaron aur guphaon mein
kab tak phirnā ġhāroñ aur guphāoñ meñ
aao vāpas lauT chaleñ ab gaañv meñ
sahrā meñ ik ret-mahal ta.amīr kareñ
sukh se baiTheñ añgūroñ kī chhāñv meñ
ruuh bhaTaktī hai bāġhī shahzādī kī
sunte haiñ in ḳhālī mahl-sarāoñ meñ
mujh meñ chhaTī his jaagī taaza miTTī kī
tuġhyānī hai phir pāñchoñ dariyāoñ meñ
gayyā to sardār ke baaġh meñ qatl huī
charvāhā sotā hai niim kī chhāñv meñ
ek ne beTī ek ne beTā janm diyā
kitnā farq hai ham donoñ kī maaoñ meñ
kab tak phirna ghaaron aur guphaon mein
aao wapas lauT chalen ab ganw mein
sahra mein ek ret-mahal tamir karen
sukh se baiThen anguron ki chhanw mein
ruh bhaTakti hai baghi shahzadi ki
sunte hain in KHali mahl-saraon mein
mujh mein chhaTi his jagi taza miTTi ki
tughyani hai phir panchon dariyaon mein
gayya to sardar ke bagh mein qatl hui
charwaha sota hai nim ki chhanw mein
ek ne beTi ek ne beTa janm diya
kitna farq hai hum donon ki maon mein
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.