kab tak rahega shab ka safar dekhna ye hai
kab tak rahegā shab kā safar dekhnā ye hai
hai kitnī duur aur sahar dekhnā ye hai
har ik qadam pe vaqt badal jaa.e hai yahāñ
kis tarh tai karoge safar dekhnā ye hai
būḌhā daraḳht tez havāoñ ke sāmne
kab tak rahegā sīna-sipar dekhnā ye hai
hoñToñ pe khil rahe haiñ sadāqat ke chand phuul
neze pe kab buland ho sar dekhnā ye hai
dange meñ to halāk hue be-shumār log
kal kis tarah chhapegī ḳhabar dekhnā ye hai
insāniyat ke naam pe kab tak laḌeñge ham
kab tak bahegā ḳhūn-e-'bashar' dekhnā ye hai
kab tak rahega shab ka safar dekhna ye hai
hai kitni dur aur sahar dekhna ye hai
har ek qadam pe waqt badal jae hai yahan
kis tarh tai karoge safar dekhna ye hai
buDha daraKHt tez hawaon ke samne
kab tak rahega sina-sipar dekhna ye hai
honTon pe khil rahe hain sadaqat ke chand phul
neze pe kab buland ho sar dekhna ye hai
dange mein to halak hue be-shumar log
kal kis tarah chhapegi KHabar dekhna ye hai
insaniyat ke nam pe kab tak laDenge hum
kab tak bahega KHun-e-'bashar' dekhna ye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.