kab tak rahun main kushta-e-adab-e-kuhan aur
kab tak rahūñ maiñ kushta-e-ādāb-e-kuhan aur
ab vaz' kiyā jā.egā ā.īn-e-chaman aur
aahoñ ko zarā tez kareñ ahl-e-mehan aur
badleñge ravish ek din arbāb-e-chaman aur
vo husn kā andāz hai ye 'ishq kī tā'rīf
hote haiñ ġhazabnāk to baḌhtī hai lagan aur
fariyād kī lai ġham kī fazāoñ meñ samove
aa.e na kahīñ husn ke māthe pe shikan aur
baḳhshī hai junūñ ko tire 'bismil' ne firāsat
is mahram-e-fitrat kā hai andāz-e-suḳhan aur
kab tak rahun main kushta-e-adab-e-kuhan aur
ab waz' kiya jaega aain-e-chaman aur
aahon ko zara tez karen ahl-e-mehan aur
badlenge rawish ek din arbab-e-chaman aur
wo husn ka andaz hai ye 'ishq ki ta'rif
hote hain ghazabnak to baDhti hai lagan aur
fariyaad ki lai gham ki fazaon mein samowe
aae na kahin husn ke mathe pe shikan aur
baKHshi hai junun ko tere 'bismil' ne firasat
is mahram-e-fitrat ka hai andaz-e-suKHan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.