kab tak umid-e-KHam pe baiTha kare koi
kab tak umīd-e-ḳhām pe baiThā kare koī
kuchh kahne se bhī pahle to sochā kare koī
qindīl bujh rahī hai tamannā-e-zīst kī
ab laakh lau pe lau na baḌhāyā kare koī
gar ho sake na dil hī munavvar to ai 'nadīm'
kyā fā.eda ki ka.abe ko jaayā kare koī
kuchh bandagī kī laaj to rakh le mire ḳhudā
maiñ banda terā aur tamāshā kare koī
'māhir' ko aarzū but-e-ḳhud-sar kī ho na kyoñ
dair-o-haram meñ ab kise sajda kare koī
kab tak umid-e-KHam pe baiTha kare koi
kuchh kahne se bhi pahle to socha kare koi
qindil bujh rahi hai tamanna-e-zist ki
ab lakh lau pe lau na baDhaya kare koi
gar ho sake na dil hi munawwar to ai 'nadim'
kya faeda ki kabe ko jaya kare koi
kuchh bandagi ki laj to rakh le mere KHuda
main banda tera aur tamasha kare koi
'mahir' ko aarzu but-e-KHud-sar ki ho na kyon
dair-o-haram mein ab kise sajda kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.