kab talak baiTha rahega ye jahan dar par mere
kab talak baiThā rahegā ye jahāñ dar par mire
aur kitne din rahegā āsmāñ sar par mire
mo.ajiza qismat kā hai yā hai ye hāthoñ kā hunar
aa girā merā jigar hī aaj nashtar par mire
chhaTpaTātā hai bechāra reg-zāroñ se ghirā
koī to dast-e-karam hotā samundar par mire
jo jahāñ par hai vahīñ par ghul rahā hai din-ba-din
chhā ga.ī hai be-hisī kī gard manzar par mire
go ki rakhtā huuñ maiñ dushman se hifāzat ke liye
naam to merā magar likkhā hai ḳhanjar par mire
DhūñDhtā phirtā huuñ apnā ghar maiñ shahr-e-ḳhvāb meñ
raat phir sotā hai koī aur bistar par mire
kab talak baiTha rahega ye jahan dar par mere
aur kitne din rahega aasman sar par mere
moajiza qismat ka hai ya hai ye hathon ka hunar
aa gira mera jigar hi aaj nashtar par mere
chhaTpaTata hai bechaara reg-zaron se ghira
koi to dast-e-karam hota samundar par mere
jo jahan par hai wahin par ghul raha hai din-ba-din
chha gai hai be-hisi ki gard manzar par mere
go ki rakhta hun main dushman se hifazat ke liye
nam to mera magar likkha hai KHanjar par mere
DhunDhta phirta hun apna ghar main shahr-e-KHwab mein
raat phir sota hai koi aur bistar par mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.