kab talak chalna hai yun hi ham-safar se baat kar
kab talak chalna hai yun hi ham-safar se baat kar
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
kab talak chalnā hai yuuñ hī ham-safar se baat kar
manzileñ kab tak mileñgī rahguzar se baat kar
tujh ko mil jā.egā tere sab savāloñ kā javāb
kashtiyāñ kyuuñ Duub jaatī haiñ bhañvar se baat kar
kab talak chhuptā rahegā yuuñ hī apne-āp se
aa.ine ke rū-ba-rū aa apne Dar se baat kar
baḌh chukī haiñ ab tirī fikr-o-nazar kī vus.ateñ
jugnuoñ ko chhoḌ ab shams o qamar se baat kar
is tarah to aur bhī terī ghuTan baḌh jā.egī
ham-navā koī nahīñ to bām-o-dar se baat kar
dard kyā hai ye samajhnā hai to apne dil se pūchh
āñsuoñ kī baat hai to chashm-e-tar se baat kar
har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liyā
dekhnā kyā chāhtī hai ab nazar se baat kar
dhuup kaise saa.e meñ tabdīl hotī hai yahāñ
is hunar ko sīkhnā hai to shajar se baat kar
zaḳhm poshīda rahā to dard baḌhtā jā.egā
be-takalluf ho ke apne chāra-gar se baat kar
kab talak chalna hai yun hi ham-safar se baat kar
manzilen kab tak milengi rahguzar se baat kar
tujh ko mil jaega tere sab sawalon ka jawab
kashtiyan kyun Dub jati hain bhanwar se baat kar
kab talak chhupta rahega yun hi apne-ap se
aaine ke ru-ba-ru aa apne Dar se baat kar
baDh chuki hain ab teri fikr-o-nazar ki wusaten
jugnuon ko chhoD ab shams o qamar se baat kar
is tarah to aur bhi teri ghuTan baDh jaegi
ham-nawa koi nahin to baam-o-dar se baat kar
dard kya hai ye samajhna hai to apne dil se puchh
aansuon ki baat hai to chashm-e-tar se baat kar
har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liya
dekhna kya chahti hai ab nazar se baat kar
dhup kaise sae mein tabdil hoti hai yahan
is hunar ko sikhna hai to shajar se baat kar
zaKHm poshida raha to dard baDhta jaega
be-takalluf ho ke apne chaara-gar se baat kar
- Book : Bechehragi (Pg. 62)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.