kab talak hamari sai-e-amal raegan rahe
kab talak hamārī sa.ī-e-amal rā.egāñ rahe
kab tak ġhubār-e-dīda-o-dil rā.egāñ rahe
āsūda-bayāñ to hazāroñ haiñ bazm meñ
lekin vo bad-nasīb jo tishna-bayāñ rahe
hai ab zabān-e-ḳhalq unhīñ kī fasāna-ḳhvāñ
kal tak tire itaab meñ jo be-zabāñ rahe
kyā zikr aish-rafta-e-ahd-e-bahār kā
ġham bhī mujhe qubūl hai gar jāvedāñ rahe
kyā ehtiyāt-e-sāġhar-o-mīnā karūñ ki jab
barbādiyoñ meñ sāzish-e-pīr-e-muġhāñ rahe
'sūfī' chaman meñ koshish-e-paiham ke bāvajūd
jo phuul nauha-ḳhvāñ the yūñhī nauha-ḳhvāñ rahe
kab talak hamari sai-e-amal raegan rahe
kab tak ghubar-e-dida-o-dil raegan rahe
aasuda-bayan to hazaron hain bazm mein
lekin wo bad-nasib jo tishna-bayan rahe
hai ab zaban-e-KHalq unhin ki fasana-KHwan
kal tak tere itab mein jo be-zaban rahe
kya zikr aish-rafta-e-ahd-e-bahaar ka
gham bhi mujhe qubul hai gar jawedan rahe
kya ehtiyat-e-saghar-o-mina karun ki jab
barbaadiyon mein sazish-e-pir-e-mughan rahe
'sufi' chaman mein koshish-e-paiham ke bawajud
jo phul nauha-KHwan the yunhi nauha-KHwan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.