Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab talak istiKhaara karen

Abdurrahman momin

kab talak istiKhaara karen

Abdurrahman momin

MORE BYAbdurrahman momin

    kab talak istiḳhāra kareñ

    aap kuchh to ishāra kareñ

    aap kyoñ chāhte haiñ ki ham

    aa.ine par guzārā kareñ

    dil ko samjhā.eñ sab khel hai

    aur phir dil ko haarā kareñ

    yaad aate haiñ vo din bahut

    kyoñ na vo din dobāra kareñ

    ḳhvāb meñ sahī par kabhī

    aap ḳhud ko pukārā kareñ

    aap jab nahīñ haiñ to phir

    kyoñ na ham bhī kināra kareñ

    kab talak istiKHara karen

    aap kuchh to ishaara karen

    aap kyon chahte hain ki hum

    aaine par guzara karen

    dil ko samjhaen sab khel hai

    aur phir dil ko haara karen

    yaad aate hain wo din bahut

    kyon na wo din dobara karen

    KHwab mein hi sahi par kabhi

    aap KHud ko pukara karen

    aap hi jab nahin hain to phir

    kyon na hum bhi kinara karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now