kab talak kirchiyan chunungi main
kab talak kirchiyāñ chunūñgī maiñ
sañg-dil tujh se laḌ paḌūñgī maiñ
merī āñkheñ nahīñ rahīñ lekin
aa.ina dekhtī rahūñgī maiñ
maañ ke naqsh-e-qadam pe chalnā hai
sirf guḌiyā nahīñ rahūñgī maiñ
khīñch kar ik lakīr udāsī kī
rañg manzar meñ kuchh bharūñgī
lafz ab rā.egāñ na hoñge mire
in se phir zaḳhm-e-dil siyūñgī maiñ
kab talak kirchiyan chunungi main
sang-dil tujh se laD paDungi main
meri aankhen nahin rahin lekin
aaina dekhti rahungi main
man ke naqsh-e-qadam pe chalna hai
sirf guDiya nahin rahungi main
khinch kar ek lakir udasi ki
rang manzar mein kuchh bharungi
lafz ab raegan na honge mere
in se phir zaKHm-e-dil siyungi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.