kab talak ruswa karega ai muqaddar so ja
kab talak rusvā karegā ai muqaddar so jā
paḌh chuke terā likhā ai mire ham-sar so jā
raat bhar dastakeñ darvāza-e-dil par paiham
kab talak ham ko satā.egā sitamgar so jā
vo nahīñ ā.eñge kab tak tū bhalā dhaḌkegā
ai mire dil mirī qismat ke sikandar so jā
ḳhūgar-e-ishq tū mad.hosh-e-mohabbat har-dam
ai mire qalb mire mast qalandar so jā
phir shab-e-hijr vahī dard kī yalġhār vahī
sabr aur shukr kī phir taan ke chādar so jā
kitne shab-ḳhūn kiye qāfile luuTe kitne
rahzanī kar lī bahut ab to ai rahbar so jā
shab kī tanhā.ī meñ sag-hā-e-tamannā mat chheḌ
shor-o-ġhul se bapā ho jā.egā mahshar so jā
bahr-e-ġham tujh ko kabhī ġharq nahīñ kar saktā
vus.at-e-zarf baḌhā pī ke samundar so jā
maazī kī dhund meñ mat jhāñk kahā maan mirā
raat bhar barseñge phir yaad ke patthar so jā
phir vahī rat-jage tā-sahar taḌapnā 'shāhid'
ishq meñ terā bahut haal hai abtar so jā
kab talak ruswa karega ai muqaddar so ja
paDh chuke tera likha ai mere ham-sar so ja
raat bhar dastaken darwaza-e-dil par paiham
kab talak hum ko sataega sitamgar so ja
wo nahin aaenge kab tak tu bhala dhaDkega
ai mere dil meri qismat ke sikandar so ja
KHugar-e-ishq tu madhosh-e-mohabbat har-dam
ai mere qalb mere mast qalandar so ja
phir shab-e-hijr wahi dard ki yalghaar wahi
sabr aur shukr ki phir tan ke chadar so ja
kitne shab-KHun kiye qafile luTe kitne
rahzani kar li bahut ab to ai rahbar so ja
shab ki tanhai mein sag-ha-e-tamanna mat chheD
shor-o-ghul se bapa ho jaega mahshar so ja
bahr-e-gham tujh ko kabhi gharq nahin kar sakta
wusat-e-zarf baDha pi ke samundar so ja
mazi ki dhund mein mat jhank kaha man mera
raat bhar barsenge phir yaad ke patthar so ja
phir wahi rat-jage ta-sahar taDapna 'shahid'
ishq mein tera bahut haal hai abtar so ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.