kab tere dard se dil ye be-kal na tha
kab tire dard se dil ye be-kal na thā
aisī koī bhī saa.at koī pal na thā
ham-nashīñ jis jagah qatl merā huā
āshiyāñ thā mirā koī maqtal na thā
us kī ulfat ne ye mo.ajiza kar diyā
dil kisī ke liye itnā pāgal na thā
umr-bhar paañv meñ aable hī rahe
zindagī meñ kahīñ farsh-e-maḳhmal na thā
ḳhuun insāf kā ho rahā chār-sū
silsila jabr kā yuuñ musalsal na thā
har nafas yaad us kī satātī rahī
hijr kā faisla bhī mukammal na thā
terī sharm-o-hayā terī pahchān hai
'shāmā' māthe pe kyoñ terā āñchal na thā
kab tere dard se dil ye be-kal na tha
aisi koi bhi saat koi pal na tha
ham-nashin jis jagah qatl mera hua
aashiyan tha mera koi maqtal na tha
us ki ulfat ne ye moajiza kar diya
dil kisi ke liye itna pagal na tha
umr-bhar panw mein aable hi rahe
zindagi mein kahin farsh-e-maKHmal na tha
KHun insaf ka ho raha chaar-su
silsila jabr ka yun musalsal na tha
har nafas yaad us ki satati rahi
hijr ka faisla bhi mukammal na tha
teri sharm-o-haya teri pahchan hai
'shama' mathe pe kyon tera aanchal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.