kab tere zikr se dil shad nahin
kab tire zikr se dil shaad nahīñ
kab mire lab pe tirī yaad nahīñ
pūchhiye mujh se na hāl-e-māzī
kyā sunā.ūñ mujhe kuchh yaad nahīñ
vo nigāhoñ kā tasādum sar-e-rāh
mujh ko hai yaad tujhe yaad nahīñ
ishq aur husn hadoñ meñ apne
donoñ pāband haiñ āzād nahīñ
jis se zāhir na hoñ jazbāt-e-dil
sher vo mustahiq-e-dād nahīñ
istaqāmat nahīñ jis ko hāsil
vo to dhoka hai tirī yaad nahīñ
gulshan-e-ilm-o-adab meñ 'akmal'
hazrat-e-‘qadr’ sā ustād nahīñ
kab tere zikr se dil shad nahin
kab mere lab pe teri yaad nahin
puchhiye mujh se na haal-e-mazi
kya sunaun mujhe kuchh yaad nahin
wo nigahon ka tasadum sar-e-rah
mujh ko hai yaad tujhe yaad nahin
ishq aur husn hadon mein apne
donon paband hain aazad nahin
jis se zahir na hon jazbaat-e-dil
sher wo mustahiq-e-dad nahin
istaqamat nahin jis ko hasil
wo to dhoka hai teri yaad nahin
gulshan-e-ilm-o-adab mein 'akmal'
hazrat-e-‘qadr’ sa ustad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.