kab tum bhaTke kyun tum bhaTke kis kis ko samjhaoge
kab tum bhaTke kyun tum bhaTke kis kis ko samjhaoge
Jameeluddin Aali
MORE BYJameeluddin Aali
kab tum bhaTke kyuuñ tum bhaTke kis kis ko samjhāoge
itnī duur to aa pahuñche ho aur kahāñ tak jāoge
is chālīs baras meñ tum ne kitne dost banā.e haiñ
ab jo umr bachī hai us meñ kitne dost banāoge
bachpan ke sab sañgī sāthī āḳhir kyuuñ tumheñ chhoḌ ga.e
koī yaar nayā pūchhe to is ko kyā batlāoge
jo bhī tum ne shohrat paa.ī jo bhī tum badnām hue
kyā yahī tarka apne pyāre bachchoñ ko de jāoge
ab is josh-e-ḳhud-āgāhī meñ aage kī kyā sochī hai
sher kahoge ishq karoge kyā kyā Dhoñg rachāoge
'ā.alī' kis ko fursat hogī ek tumhī ko rone kī
jaise sab yaad aa jaate haiñ tum bhī yaad aa jāoge
kab tum bhaTke kyun tum bhaTke kis kis ko samjhaoge
itni dur to aa pahunche ho aur kahan tak jaoge
is chaalis baras mein tum ne kitne dost banae hain
ab jo umr bachi hai us mein kitne dost banaoge
bachpan ke sab sangi sathi aaKHir kyun tumhein chhoD gae
koi yar naya puchhe to is ko kya batlaoge
jo bhi tum ne shohrat pai jo bhi tum badnam hue
kya yahi tarka apne pyare bachchon ko de jaoge
ab is josh-e-KHud-agahi mein aage ki kya sochi hai
sher kahoge ishq karoge kya kya Dhong rachaoge
'aali' kis ko fursat hogi ek tumhi ko rone ki
jaise sab yaad aa jate hain tum bhi yaad aa jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.