kab use shoKHi-e-raftar liye phirti hai
kab use shoḳhī-e-raftār liye phirtī hai
havas-e-garmī-e-bāzār liye phirtī hai
dar-ba-dar ḳhāk-basar ḳhvār liye phirtī hai
kyā kaheñ hasrat-e-dīdār liye phirtī hai
charḳh par apne chaḌhā.e hue duniyā kī havas
saiñkaḌoñ kāfir-o-dīñ-dār liye phirtī hai
zulf-e-mushkīñ kī na pūchho vo balā hai vo balā
saiñkaḌoñ saath shab-e-tār liye phirtī hai
hashr meñ rahmat-e-haq sab kī tasallī ke liye
saath 'shāġhil' sā gunahgār liye phirtī hai
kab use shoKHi-e-raftar liye phirti hai
hawas-e-garmi-e-bazar liye phirti hai
dar-ba-dar KHak-basar KHwar liye phirti hai
kya kahen hasrat-e-didar liye phirti hai
charKH par apne chaDhae hue duniya ki hawas
sainkaDon kafir-o-din-dar liye phirti hai
zulf-e-mushkin ki na puchho wo bala hai wo bala
sainkaDon sath shab-e-tar liye phirti hai
hashr mein rahmat-e-haq sab ki tasalli ke liye
sath 'shaghil' sa gunahgar liye phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.