kab utrega ruh se gara miTTi ka
kab utregā ruuh se gaarā miTTī kā
miTTī kī hai jhiil kinārā miTTī kā
maiñ ne har dam kī dildārī miTTī kī
maiñ ne har dam qarz utārā miTTī kā
maiñ ne chaudah chāñd kiye haiñ jis ke naam
us ne bhejā ek sitārā miTTī kā
miTTī ko rauñdā miTTī kā ḳhuun kiyā
hogā āḳhir-kār ijāra miTTī kā
āñkhoñ meñ hai sahrāoñ sā sūnā-pan
paañv ke nīche hai añgāra miTTī kā
maiñ ne paañv jamā rakkhe 'ausāf' yahāñ
maiñ ne samjhā saaf ishāra miTTī kā
kab utrega ruh se gara miTTi ka
miTTi ki hai jhil kinara miTTi ka
main ne har dam ki dildari miTTi ki
main ne har dam qarz utara miTTi ka
main ne chaudah chand kiye hain jis ke nam
us ne bheja ek sitara miTTi ka
miTTi ko raunda miTTi ka KHun kiya
hoga aaKHir-kar ijara miTTi ka
aankhon mein hai sahraon sa suna-pan
panw ke niche hai angara miTTi ka
main ne panw jama rakkhe 'ausaf' yahan
main ne samjha saf ishaara miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.