kab wo kisi hasin se kamtar dikhai de
kab vo kisī hasīn se kamtar dikhā.ī de
mujh ko na us kā koī bhī ham-sar dikhā.ī de
hai bevafā koī to koī ḳhūgar-e-sitam
mehr-o-vafā kā koī to paikar dikhā.ī de
kyā pur-sukūñ nizām thā kal terī bazm kā
har samt aaj ik nayā mahshar dikhā.ī de
us ke hazār rang haiñ us ke hazār ruup
qātil dikhā.ī de kabhī dilbar dikhā.ī de
paa.ī ga.ī hai mahfil-e-sher-o-suḳhan udaas
'raunaq' sā ab na ham ko suḳhanvar dikhā.ī de
kis haal meñ haiñ kaise guzarte haiñ raat din
ye pūchhnā jo aap ko 'afsar' dikhā.ī de
kab wo kisi hasin se kamtar dikhai de
mujh ko na us ka koi bhi ham-sar dikhai de
hai bewafa koi to koi KHugar-e-sitam
mehr-o-wafa ka koi to paikar dikhai de
kya pur-sukun nizam tha kal teri bazm ka
har samt aaj ek naya mahshar dikhai de
us ke hazar rang hain us ke hazar rup
qatil dikhai de kabhi dilbar dikhai de
pai gai hai mahfil-e-sher-o-suKHan udas
'raunaq' sa ab na hum ko suKHanwar dikhai de
kis haal mein hain kaise guzarte hain raat din
ye puchhna jo aap ko 'afsar' dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.