kab wo tanhai ke aasar se ghabrae hain
kab vo tanhā.ī ke āsār se ghabrā.e haiñ
log to raunaq-e-bāzār se ghabrā.e haiñ
kaun kartā hai bhalā ābla-pā.ī kā gilā
ham to bas rastoñ kī raftār se ghabrā.e haiñ
apne qāmat se nikalnā paḌā bāhar un ko
jo shajar sāya-e-dīvār se ghabrā.e haiñ
log qīmat to lagā.eñge ye bāzār to hai
be-vaj.h ham to ḳharīdār se ghabrā.e haiñ
kis liye maañg rahe haiñ mirī dastār vo log
jo marī jur.at-e-guftār se ghabrā.e haiñ
ham ko aise nahīñ āvārgī sūjhī 'ehsān'
ham to apne dar-o-dīvār se ghabrā.e haiñ
kab wo tanhai ke aasar se ghabrae hain
log to raunaq-e-bazar se ghabrae hain
kaun karta hai bhala aabla-pai ka gila
hum to bas raston ki raftar se ghabrae hain
apne qamat se nikalna paDa bahar un ko
jo shajar saya-e-diwar se ghabrae hain
log qimat to lagaenge ye bazar to hai
be-wajh hum to KHaridar se ghabrae hain
kis liye mang rahe hain meri dastar wo log
jo mari jurat-e-guftar se ghabrae hain
hum ko aise nahin aawargi sujhi 'ehsan'
hum to apne dar-o-diwar se ghabrae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.