kab zamana sazgar-e-KHatir-e-na-saz tha
kab zamana sazgar-e-KHatir-e-na-saz tha
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
kab zamāna sāzgār-e-ḳhātir-e-nā-sāz thā
kis kā dam bharte hamārā dam hī jab dam-bāz thā
kyā batā.ūñ bazm kā un kī ajab andāz thā
āshnā-e-rāz bhī nā-āshnā-e-rāz thā
apne matlab kī har ik suntā thā bazm-e-dahr meñ
kis se kahte hāl-e-dil apnā koī hamrāz thā
ham hī ham the ham se thī duniyā-e-ishrat kī bahār
zindagī meñ vo bhī din guzre haiñ jin par naaz thā
vahshat-e-zauq-e-talab meñ jab uThe baḌhte ga.e
kis ko dāmān-e-junūn-e-shauq kā andāz thā
apnī hastī meñ ulajh kar dekhtā kyā ḳhud-pasand
zarre zarre meñ jahāñ ke zindagī kā raaz thā
be-piye bhī mai-kashoñ par be-ḳhudī chhā.ī rahī
ye nigāh-e-sāqī-e-badmast kā e.ajāz thā
vo bhī chup the dekh kar merā sukūt-e-ġham-navāz
merī ḳhāmoshī ke aalam meñ bhī koī raaz thā
kis ne duniyā ko banāyā kis kī duniyā ban ga.ī
yuuñ to kahne ke liye har ek duniyā-sāz thā
ham haiñ ab aur ulfat-e-sayyād asīrī kā lihāz
uḌ gayā yak-laḳht jo zor-e-par-e-parvāz thā
kal mohabbat kā nasha thā aur kaif-e-be-ḳhudī
ya.anī maiñ thā aur surūr-e-jalva-gāh-e-nāz thā
kab zamana sazgar-e-KHatir-e-na-saz tha
kis ka dam bharte hamara dam hi jab dam-baz tha
kya bataun bazm ka un ki ajab andaz tha
aashna-e-raaz bhi na-ashna-e-raaz tha
apne matlab ki har ek sunta tha bazm-e-dahr mein
kis se kahte haal-e-dil apna koi hamraaz tha
hum hi hum the hum se thi duniya-e-ishrat ki bahaar
zindagi mein wo bhi din guzre hain jin par naz tha
wahshat-e-zauq-e-talab mein jab uThe baDhte gae
kis ko daman-e-junun-e-shauq ka andaz tha
apni hasti mein ulajh kar dekhta kya KHud-pasand
zarre zarre mein jahan ke zindagi ka raaz tha
be-piye bhi mai-kashon par be-KHudi chhai rahi
ye nigah-e-saqi-e-badmast ka eajaz tha
wo bhi chup the dekh kar mera sukut-e-gham-nawaz
meri KHamoshi ke aalam mein bhi koi raaz tha
kis ne duniya ko banaya kis ki duniya ban gai
yun to kahne ke liye har ek duniya-saz tha
hum hain ab aur ulfat-e-sayyaad asiri ka lihaz
uD gaya yak-laKHt jo zor-e-par-e-parwaz tha
kal mohabbat ka nasha tha aur kaif-e-be-KHudi
yani main tha aur surur-e-jalwa-gah-e-naz tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.