kab zulf-e-dota unki pareshan nahin hai
kab zulf-e-dotā un kī pareshān nahīñ hai
kab vahshat-e-dil kā mirī sāmān nahīñ hai
yādoñ ko lagā.e hue siine se guzar jā
ye rāh-e-mohabbat hai kuchh āsān nahīñ hai
duniyā meñ mujhe daulat-e-jāved hai hāsil
kyā dil meñ mire aap kā armān nahīñ hai
ai bāda-kasho zarf kī kuchh baat karo aaj
saaqī kā yahāñ aam ab ehsān nahīñ hai
kyā pūchhte ho tamkanat-e-husn kā aalam
ab jaise karam kā koī imkān nahīñ hai
kuchh roz se har neshtar-e-ġham hai gavārā
kyā ye nigah-e-mast kā ehsān nahīñ hai
armān umañg hausla ummīd bhī is meñ
kāshāna-e-dil dosto vīrān nahīñ hai
yuuñ milte haiñ mujh se vo sar-e-bazm 'jamālī'
jaise mirī un se koī pahchān nahīñ hai
kab zulf-e-dota un ki pareshan nahin hai
kab wahshat-e-dil ka meri saman nahin hai
yaadon ko lagae hue sine se guzar ja
ye rah-e-mohabbat hai kuchh aasan nahin hai
duniya mein mujhe daulat-e-jawed hai hasil
kya dil mein mere aap ka arman nahin hai
ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj
saqi ka yahan aam ab ehsan nahin hai
kya puchhte ho tamkanat-e-husn ka aalam
ab jaise karam ka koi imkan nahin hai
kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gawara
kya ye nigah-e-mast ka ehsan nahin hai
arman umang hausla ummid bhi is mein
kashana-e-dil dosto viran nahin hai
yun milte hain mujh se wo sar-e-bazm 'jamali'
jaise meri un se koi pahchan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.