kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai
kabhī ābād kartā hai kabhī barbād kartā hai
sitam har roz hī vo ik nayā ījād kartā hai
ham us kī har adā par roz par phailā.e aate haiñ
nazar ke jaal meñ pāband jo sayyād kartā hai
vo kal bhī mo'atabar thā aaj bhī rahbar hamārā hai
vo dushman jo vatan kī khokhlī buniyād kartā hai
usī ke ishq meñ jalnā mirī taqdīr Thahrī hai
mohabbat kī na.ī jo bastiyāñ ābād kartā hai
maiñ us ke pyaar ke dhāgoñ se apnī umr buntā huuñ
jo merā naam le le kar mujhe barbād kartā hai
tazād-e-ishq kā ye khel bhī kitnā anokhā hai
use ham bhuul jaate haiñ jo ham ko yaad kartā hai
zamāna ho gayā lekin ḳhabar lene nahīñ aayā
jo panchhī roz mere naam par āzād kartā hai
ajab vo shaḳhs hai us kī mohabbat bhī nirālī hai
jo pahle qaid kar ke ba.ad meñ āzād kartā hai
maiñ ik muddat se us ke pyaar kī ḳhushbū meñ jiitā huuñ
'hasan' misl-e-havā jo roz mujh ko shaad kartā hai
kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai
sitam har roz hi wo ek naya ijad karta hai
hum us ki har ada par roz par phailae aate hain
nazar ke jal mein paband jo sayyaad karta hai
wo kal bhi mo'atabar tha aaj bhi rahbar hamara hai
wo dushman jo watan ki khokhli buniyaad karta hai
usi ke ishq mein jalna meri taqdir Thahri hai
mohabbat ki nai jo bastiyan aabaad karta hai
main us ke pyar ke dhagon se apni umr bunta hun
jo mera nam le le kar mujhe barbaad karta hai
tazad-e-ishq ka ye khel bhi kitna anokha hai
use hum bhul jate hain jo hum ko yaad karta hai
zamana ho gaya lekin KHabar lene nahin aaya
jo panchhi roz mere nam par aazad karta hai
ajab wo shaKHs hai us ki mohabbat bhi nirali hai
jo pahle qaid kar ke baad mein aazad karta hai
main ek muddat se us ke pyar ki KHushbu mein jita hun
'hasan' misl-e-hawa jo roz mujh ko shad karta hai
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 53)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.