kabhi aahen kabhi nale kabhi aansu nikle
kabhī aaheñ kabhī naale kabhī aañsū nikle
un se āġhāz-e-suḳhan ke ka.ī pahlū nikle
yuuñ bhī vo bazm-e-tasavvur se guzar jaate haiñ
jaise lai saaz se yā phuul se ḳhushbū nikle
hai is ummīd pe saiqal hunar-e-tesha-zanī
sīna-e-sañg se shāyad koī gul-rū nikle
qissa-e-dār-o-rasan hī sahī kuchh baat karo
kisī unvāñ se to zikr-e-qad-o-gesū nikle
ġham-e-daurāñ ne kiyā ahl-e-tamannā kā vo haal
dasht se jaise hirāsāñ koī aahū nikle
ham jinheñ 'hosh' tajāhul se ḳhatā samjhe the
nāvak-e-nāz vo sab dil meñ tarāzū nikle
kabhi aahen kabhi nale kabhi aansu nikle
un se aaghaz-e-suKHan ke kai pahlu nikle
yun bhi wo bazm-e-tasawwur se guzar jate hain
jaise lai saz se ya phul se KHushbu nikle
hai is ummid pe saiqal hunar-e-tesha-zani
sina-e-sang se shayad koi gul-ru nikle
qissa-e-dar-o-rasan hi sahi kuchh baat karo
kisi unwan se to zikr-e-qad-o-gesu nikle
gham-e-dauran ne kiya ahl-e-tamanna ka wo haal
dasht se jaise hirasan koi aahu nikle
hum jinhen 'hosh' tajahul se KHata samjhe the
nawak-e-naz wo sab dil mein taraazu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.