kabhi aankhen kabhi ruKHsar-o-zaqan nochti hai
kabhi aankhen kabhi ruKHsar-o-zaqan nochti hai
Lucky farooqi Hasrat
MORE BYLucky farooqi Hasrat
kabhī āñkheñ kabhī ruḳhsār-o-zaqan nochtī hai
ab mirī ruuh faqat merā badan nochtī hai
sub.h kī chaa.e meñ hotī hai vo tāsīr ġhazab
jo ga.ī raat ke chehre se thakan nochtī hai
apnī marzī se tavā.if nahīñ bantī aurat
muflisī bhuuk kī jānib se badan nochtī hai
bāhamī rabt ke jalve bhī ajab hote haiñ
maiñ ghuTan ko to kabhī mujh ko ghuTan nochtī hai
log kahte the ġharībī jise sadiyoñ pahle
vo balā aaj bhī lāshoñ ke kafan nochtī hai
gar alāva tire aatā hai kisī aur kā ḳhvāb
raat bhar aañkh kī putlī ko chubhan nochtī hai
kabhi aankhen kabhi ruKHsar-o-zaqan nochti hai
ab meri ruh faqat mera badan nochti hai
subh ki chae mein hoti hai wo tasir ghazab
jo gai raat ke chehre se thakan nochti hai
apni marzi se tawaif nahin banti aurat
muflisi bhuk ki jaanib se badan nochti hai
bahami rabt ke jalwe bhi ajab hote hain
main ghuTan ko to kabhi mujh ko ghuTan nochti hai
log kahte the gharibi jise sadiyon pahle
wo bala aaj bhi lashon ke kafan nochti hai
gar alawa tere aata hai kisi aur ka KHwab
raat bhar aankh ki putli ko chubhan nochti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.