kabhi aawaz de ek bar koi
kabhī āvāz de ik baar koī
agar maujūd hai us paar koī
sukūñ se din guzartā hai hamārā
mañgāte hī nahīñ aḳhbār koī
yahāñ dair-o-haram banñe se pahle
nahīñ thī āhanī dīvār koī
hazāroñ kaam haiñ dasht-e-junūñ meñ
yahāñ phirtā nahīñ bekār koī
ab aise jurm bhī hone lage haiñ
nahīñ hai jin kā zimmedār koī
ham apnā ajnabī-pan bhuul jaa.eñ
agar pahchān le ik baar koī
sunā hai kal tire kūche meñ ham ne
katar dī haath se talvār koī
kabhi aawaz de ek bar koi
agar maujud hai us par koi
sukun se din guzarta hai hamara
mangate hi nahin aKHbar koi
yahan dair-o-haram banne se pahle
nahin thi aahani diwar koi
hazaron kaam hain dasht-e-junun mein
yahan phirta nahin bekar koi
ab aise jurm bhi hone lage hain
nahin hai jin ka zimmedar koi
hum apna ajnabi-pan bhul jaen
agar pahchan le ek bar koi
suna hai kal tere kuche mein hum ne
katar di hath se talwar koi
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 104)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.