Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain

Maikash Akbarabadi

kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    kabhī ahl-e-junūñ bhī maslahat se kaam lete haiñ

    tumheñ jab yaad karte haiñ ḳhudā naam lete haiñ

    vo mast-e-nāz jab duzdīda nazroñ se pilātā hai

    ḳhudī vaale bhī dast-e-be-ḳhudī se jaam lete haiñ

    qayāmat dam-ba-ḳhud hai ġhamza-e-turkāna shashdar hai

    ḳhudā ke sāmne vo aaj merā naam lete haiñ

    rah-e-ulfat meñ har har gaam par laġhzish hai 'maikash' ko

    sunā ye hai ki vo girte huoñ ko thaam lete haiñ

    kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain

    tumhein jab yaad karte hain KHuda ka nam lete hain

    wo mast-e-naz jab duzdida nazron se pilata hai

    KHudi wale bhi dast-e-be-KHudi se jam lete hain

    qayamat dam-ba-KHud hai ghamza-e-turkana shashdar hai

    KHuda ke samne wo aaj mera nam lete hain

    rah-e-ulfat mein har har gam par laghzish hai 'maikash' ko

    suna ye hai ki wo girte huon ko tham lete hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now