kabhi ahl-e-muhabbat yun na KHauf-e-jism-o-jaan karte
kabhī ahl-e-muhabbat yuuñ na ḳhauf-e-jism-o-jāñ karte
agar shaiḳh-o-barahman jashn-e-nāqūs-o-azāñ karte
navāzish kaash mujh par itnī mere mehrbāñ karte
kabhī dil kī tasallī ke liye bhūle se haañ karte
hamāre jazba-e-tāmīr se hote agar vāqif
to sadiyoñ barq ke sho'le tavāf-e-āshiyāñ karte
fasurda yuuñ na hote ġhuncha-o-gul mausam-e-gul meñ
agar dil se chaman kī ābiyārī bāġhbāñ karte
naved-e-fasl-e-gul aate haiñ dil apnā taḌap uTThā
asīr-e-ġham haiñ varna ham bhī sair-e-gulsitāñ karte
fazā-e-sāhil-e-ummīd agar kuchh raas aa jaatī
to ham kyuuñ nazr-e-tūfāñ kashti-e-umr-e-ravāñ karte
hameñ bhī mil ga.ī hotī sanad manzil-shanāsī kī
salīqe se agar taqlīd mīr-e-kārvāñ karte
kabhī bād-e-sabā ban kar kabhī jārūb-kash ho kar
tamannā thī musalsal ham tavāf-e-āstāñ karte
thā chup rahnā hī behtar un kī bazm-e-nāz meñ 'ājiz'
koī ġham-āshnā hotā to sharh-e-dāstāñ karte
kabhi ahl-e-muhabbat yun na KHauf-e-jism-o-jaan karte
agar shaiKH-o-barahman jashn-e-naqus-o-azan karte
nawazish kash mujh par itni mere mehrban karte
kabhi dil ki tasalli ke liye bhule se han karte
hamare jazba-e-tamir se hote agar waqif
to sadiyon barq ke sho'le tawaf-e-ashiyan karte
fasurda yun na hote ghuncha-o-gul mausam-e-gul mein
agar dil se chaman ki aabiyari baghban karte
nawed-e-fasl-e-gul aate hain dil apna taDap uTTha
asir-e-gham hain warna hum bhi sair-e-gulsitan karte
faza-e-sahil-e-ummid agar kuchh ras aa jati
to hum kyun nazr-e-tufan kashti-e-umr-e-rawan karte
hamein bhi mil gai hoti sanad manzil-shanasi ki
saliqe se agar taqlid mir-e-karwan karte
kabhi baad-e-saba ban kar kabhi jarub-kash ho kar
tamanna thi musalsal hum tawaf-e-astan karte
tha chup rahna hi behtar un ki bazm-e-naz mein 'ajiz'
koi gham-ashna hota to sharh-e-dastan karte
- Book : Mahbis-e-Gham (Pg. 76)
- Author : Aajiz Matavi
- Publication : Aajiz Matavi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.