kabhi andhera kabhi ujala suno ghazala
kabhī añdherā kabhī ujālā suno ġhazāla
koī kināya koī kināra suno ġhazāla
ham apne raste se haT ga.e haiñ bhaTak ga.e haiñ
na koī sahrā na koī dariyā suno ġhazāla
mire badan meñ dhaḌak rahā hai taḌap rahā hai
firāq lamhoñ kā dard saarā suno ġhazāla
badalte mausam ke rañg saare na tum hamāre
na ab ye sūraj na chāñd haala suno ġhazāla
na jī rahe haiñ na mar rahe haiñ sisak rahe haiñ
ujaaḌ āñkheñ ujaaḌ chehra suno ġhazāla
mirī nazar meñ chamak rahā hai damak rahā hai
jahāñ hai jugnū jidhar hai taarā suno ġhazāla
hamārī khiḌkī se duur haT ke zarā simaT ke
kahīñ charāġhāñ kahīñ saverā suno ġhazāla
tujhe to jaanā thā jā chukī ho mujhe yaqīñ hai
badal rahā huuñ maiñ ab Thikāna suno ġhazāla
na tum hamāre na ham tumhāre haiñ jhuuT saare
suno ġhazāla suno ġhazāla suno ġhazāla
ye kaisī ulfat kā khel ham ne hamesha khelā
na koī jiitā na koī haarā suno ġhazāla
mire safar meñ ye dhuup chhāñv na.ī nahīñ hai
vahīñ hai jañgal jahāñ hai rasta suno ġhazāla
kabhi andhera kabhi ujala suno ghazala
koi kinaya koi kinara suno ghazala
hum apne raste se haT gae hain bhaTak gae hain
na koi sahra na koi dariya suno ghazala
mere badan mein dhaDak raha hai taDap raha hai
firaq lamhon ka dard sara suno ghazala
badalte mausam ke rang sare na tum hamare
na ab ye suraj na chand haala suno ghazala
na ji rahe hain na mar rahe hain sisak rahe hain
ujaD aankhen ujaD chehra suno ghazala
meri nazar mein chamak raha hai damak raha hai
jahan hai jugnu jidhar hai tara suno ghazala
hamari khiDki se dur haT ke zara simaT ke
kahin charaghan kahin sawera suno ghazala
tujhe to jaana tha ja chuki ho mujhe yaqin hai
badal raha hun main ab Thikana suno ghazala
na tum hamare na hum tumhaare hain jhuT sare
suno ghazala suno ghazala suno ghazala
ye kaisi ulfat ka khel hum ne hamesha khela
na koi jita na koi haara suno ghazala
mere safar mein ye dhup chhanw nai nahin hai
wahin hai jangal jahan hai rasta suno ghazala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.