kabhi anjum use hoshyar to kar
kabhī 'anjum' use hoshyār to kar
koī naala pas-e-dīvār to kar
dil-e-betāb ko taskīn to ho
na de bosa magar iqrār to kar
kahīñ ma.ashūq to mash.hūr to ho
hameñ rusvā sar-e-bāzār to kar
tujhe ma.alūm to ho haal merā
zarā aane kā tū inkār to kar
inheñ 'anjum' kabhī tū dekh to le
kasī din hāl-e-dil iz.hār to kar
kabhi 'anjum' use hoshyar to kar
koi nala pas-e-diwar to kar
dil-e-betab ko taskin to ho
na de bosa magar iqrar to kar
kahin mashuq to mashhur to ho
hamein ruswa sar-e-bazar to kar
tujhe malum to ho haal mera
zara aane ka tu inkar to kar
inhen 'anjum' kabhi tu dekh to le
kasi din haal-e-dil izhaar to kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.