Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi asar na mere harf-e-muddaa mein raha

Tahira Jabeen

kabhi asar na mere harf-e-muddaa mein raha

Tahira Jabeen

MORE BYTahira Jabeen

    kabhī asar na mire harf-e-mudda.ā meñ rahā

    na iḳhtiyār koī dast-e-nā-rasā meñ rahā

    nasīb-e-duḳhtar-e-havvā jafā-o-jaur-o-sitam

    shumār husn-o-nazākat meñ aur vafā meñ rahā

    amīr-e-shahr ki thā zo.am-e-eqtidār meñ gum

    ġharīb-e-shahr sadā jabr-e-nāravā meñ rahā

    utar gayā rag-o-pai meñ vo zahr mānind

    misāl-e-shahd jo ik shaḳhs ibtidā meñ rahā

    maiñ ho sakī na kabhī apnī zaat tak mahdūd

    har ek phuul chaman mirī duā meñ rahā

    maiñ vo marīz huuñ jis ke liye na koī asar

    kisī ke harf-e-tasallī meñ aur duā meñ rahā

    vo mujh ko dekh ke kartā rahā hai an-dekhā

    ajiib tarz-e-taġhāful bhī e'tinā meñ rahā

    kabhi asar na mere harf-e-muddaa mein raha

    na iKHtiyar koi dast-e-na-rasa mein raha

    nasib-e-duKHtar-e-hawwa jafa-o-jaur-o-sitam

    shumar husn-o-nazakat mein aur wafa mein raha

    amir-e-shahr ki tha zoam-e-eqtidar mein gum

    gharib-e-shahr sada jabr-e-narawa mein raha

    utar gaya rag-o-pai mein wo zahr ki manind

    misal-e-shahd jo ek shaKHs ibtida mein raha

    main ho saki na kabhi apni zat tak mahdud

    har ek phul chaman ka meri dua mein raha

    main wo mariz hun jis ke liye na koi asar

    kisi ke harf-e-tasalli mein aur dua mein raha

    wo mujh ko dekh ke karta raha hai an-dekha

    ajib tarz-e-taghaful bhi e'tina mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now