kabhi azab kabhi ek taziyana hai
kabhī azaab kabhī ek tāziyāna hai
hamārā duur guzishta kā shāḳhsāna hai
bas ek vāda-e-fardā pe log zinda haiñ
bas ek lamha-e-maujūd āb-o-dāna hai
tanāzurāt yahāñ to badalte rahte haiñ
tumhārā nek ravayya bhī mujrimāna hai
ab aisī dhuñd meñ mujh ko dikhā.ī kyā degā
hai bas meñ tiir na qaabū meñ vo nishāna hai
vo sañg-e-rāh bhī taaza havā kā jhoñkā bhī
kabhī qayām kabhī har taraf ravāna hai
kabhi azab kabhi ek taziyana hai
hamara dur guzishta ka shaKHsana hai
bas ek wada-e-farda pe log zinda hain
bas ek lamha-e-maujud aab-o-dana hai
tanazuraat yahan to badalte rahte hain
tumhaara nek rawayya bhi mujrimana hai
ab aisi dhund mein mujh ko dikhai kya dega
hai bas mein tir na qabu mein wo nishana hai
wo sang-e-rah bhi taza hawa ka jhonka bhi
kabhi qayam kabhi har taraf rawana hai
- Book : Taziyana (Pg. 118)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.