kabhi baatil ko haq aur haq ko hum baatil samajhte hain
kabhi baatil ko haq aur haq ko hum baatil samajhte hain
Naim Hamid Ali
MORE BYNaim Hamid Ali
kabhī bātil ko haq aur haq ko ham bātil samajhte haiñ
murād-e-ahl-e-dil ko sirf ahl-e-dil samajhte haiñ
dil-e-be-mudda.ā hī mudda.ā-e-zīst hai apnā
isī be-hāsilī ko ziist kā hāsil samajhte haiñ
ye terā nuur vo terā makāñ dil kyā nazar kyā hai
nazar ko ham nazar samjhe na dil ko dil samajhte haiñ
kināroñ par jo uThte haiñ vo tūfāñ koī kyā jaane
hameñ to kam-nazar āsūda-e-sāhil samajhte haiñ
yahī apnā aqīda hai koī kuchh bhī kahe ham to
ġhazal kahnā bhī kār-e-ḳhair meñ dāḳhil samajhte haiñ
jilā mahsūs hotī hai 'na.īm' ā.īna-e-dil par
kisī kī ham nigāh-e-lutf ko shāmil samajhte haiñ
kabhi baatil ko haq aur haq ko hum baatil samajhte hain
murad-e-ahl-e-dil ko sirf ahl-e-dil samajhte hain
dil-e-be-muddaa hi muddaa-e-zist hai apna
isi be-hasili ko zist ka hasil samajhte hain
ye tera nur wo tera makan dil kya nazar kya hai
nazar ko hum nazar samjhe na dil ko dil samajhte hain
kinaron par jo uThte hain wo tufan koi kya jaane
hamein to kam-nazar aasuda-e-sahil samajhte hain
yahi apna aqida hai koi kuchh bhi kahe hum to
ghazal kahna bhi kar-e-KHair mein daKHil samajhte hain
jila mahsus hoti hai 'naim' aaina-e-dil par
kisi ki hum nigah-e-lutf ko shamil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.