kabhi badan kabhi chehra nazar nahin aata
kabhī badan kabhī chehra nazar nahīñ aatā
magar vo shaḳhs adhūrā nazar nahīñ aatā
bhaTak rahe haiñ añdhere meñ qāfile vaale
ufuq pe koī sitāra nazar nahīñ aatā
shadīd habs meñ jaatā huuñ us taraf phir bhī
khulā huā vo darīcha nazar nahīñ aatā
jo ho rahā hai garebāñ meñ dekh letā huuñ
is aa.ine meñ bhalā kyā nazar nahīñ aatā
jo guftugū meñ tirā tazkira na kartā ho
vo aadmī mujhe apnā nazar nahīñ aatā
'sha'ūr' ḳhauf jhaTak kar julūs meñ aa jaao
saroñ kī bhiiḌ meñ chehra nazar nahīñ aatā
kabhi badan kabhi chehra nazar nahin aata
magar wo shaKHs adhura nazar nahin aata
bhaTak rahe hain andhere mein qafile wale
ufuq pe koi sitara nazar nahin aata
shadid habs mein jata hun us taraf phir bhi
khula hua wo daricha nazar nahin aata
jo ho raha hai gareban mein dekh leta hun
is aaine mein bhala kya nazar nahin aata
jo guftugu mein tera tazkira na karta ho
wo aadmi mujhe apna nazar nahin aata
'sha'ur' KHauf jhaTak kar julus mein aa jao
saron ki bhiD mein chehra nazar nahin aata
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 35)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.