kabhi bahaar ka mausam naya dikhai de
kabhī bahār kā mausam nayā dikhā.ī de
gulāb bāteñ kareñ aur sabā dikhā.ī de
shab-e-junūñ hai koī mo.ajiza dikhā.ī de
kisī makāñ kā koī dar khulā dikhā.ī de
maiñ chāhūñ tishna-labī kyā se kyā dikhā.ī de
tamām jū-e-ravāñ aabla dikhā.ī de
tamām shab ke añdhere leñ intiqām agar
charāġh chhīnñe vaalī havā dikhā.ī de
hisār-e-tīra-shabī par nazar jamā.e raho
ajab nahīñ ki koī rāstā dikhā.ī de
batā.e kaun hameñ karb zard mausam kā
shajar meñ koī to pattā harā dikhā.ī de
tū mere zehn pe chhā jaa.e ḳhushbuoñ kī tarah
maiñ phuul dekhūñ sarāpā tirā dikhā.ī de
mizāj aisā bane aap hī kī āñkhoñ ko
bahe kisī kā lahū aap kā dikhā.ī de
vahāñ talāsh na karnā kabhī mujhe 'kāzim'
jahāñ kisī kā koī naqsh-e-pā dikhā.ī de
kabhi bahaar ka mausam naya dikhai de
gulab baaten karen aur saba dikhai de
shab-e-junun hai koi moajiza dikhai de
kisi makan ka koi dar khula dikhai de
main chahun tishna-labi kya se kya dikhai de
tamam ju-e-rawan aabla dikhai de
tamam shab ke andhere len intiqam agar
charagh chhinne wali hawa dikhai de
hisar-e-tira-shabi par nazar jamae raho
ajab nahin ki koi rasta dikhai de
batae kaun hamein karb zard mausam ka
shajar mein koi to patta hara dikhai de
tu mere zehn pe chha jae KHushbuon ki tarah
main phul dekhun sarapa tera dikhai de
mizaj aisa bane aap hi ki aankhon ko
bahe kisi ka lahu aap ka dikhai de
wahan talash na karna kabhi mujhe 'kazim'
jahan kisi ka koi naqsh-e-pa dikhai de
- Book : کتاب سنگ (Pg. 37)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.