kabhi bhulaya nahin yaad bhi kiya nahin hai
kabhī bhulāyā nahīñ yaad bhī kiyā nahīñ hai
ye kaisā jurm hai jis meñ koī sazā nahīñ hai
maiñ baat baat pe rone kā mājrā pūchhūñ
vo hañs rahā hai batāne ko kuchh rahā nahīñ hai
zamīñ pe āh-o-bukā aur ḳhūn-e-nāhaq bhī
zabān-e-ḳhalq ye pūchhe hai kyā ḳhudā nahīñ hai
kalām karne ko nāseh rahā na vaa.iz hai
maiñ kyā kahūñ ki mire paas bad-duā nahīñ hai
bas ab to aañkh meñ sahrā hī jam gayā aa ke
samajh lo ḳhvāb bhī dahlīz pe rakhā nahīñ hai
qadam qadam pe vahī tilmilātī ḳhvāhish hai
payām laane ko koī bhī dilrubā nahīñ hai
mirī udāsī mire kaam aa sakī na kabhī
bas ab savāl bhī karne kā hausla nahīñ hai
raqīb-e-ḳhvāhish-e-maujūda sun liyā tū ne
chaman bahut haiñ magar koī dekhtā nahīñ hai
kabhi bhulaya nahin yaad bhi kiya nahin hai
ye kaisa jurm hai jis mein koi saza nahin hai
main baat baat pe rone ka majra puchhun
wo hans raha hai batane ko kuchh raha nahin hai
zamin pe aah-o-buka aur KHun-e-nahaq bhi
zaban-e-KHalq ye puchhe hai kya KHuda nahin hai
kalam karne ko naseh raha na waiz hai
main kya kahun ki mere pas bad-dua nahin hai
bas ab to aankh mein sahra hi jam gaya aa ke
samajh lo KHwab bhi dahliz pe rakha nahin hai
qadam qadam pe wahi tilmilati KHwahish hai
payam lane ko koi bhi dilruba nahin hai
meri udasi mere kaam aa saki na kabhi
bas ab sawal bhi karne ka hausla nahin hai
raqib-e-KHwahish-e-maujuda sun liya tu ne
chaman bahut hain magar koi dekhta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.