kabhi bichai ghazal to kabhi lihaf kiya
kabhī bichā.ī ġhazal to kabhī lihāf kiyā
faqīr ne isī ḳhushiyoñ ko bas ġhilāf kiyā
musāfahe bhī hue aur muānqe bhī rahe
pas-e-ḳhulūs thā kyā kis ne inkishāf kiyā
pasand aayā to ḳhush ho ke haath kaaT liye
hunar kā yuuñ bhī zamāne ne e'tirāf kiyā
nazar bachā ke guzarnā tirā kamāl nahīñ
ye kār-e-nek to sab ne mire ḳhilāf kiyā
dikhā.ī detā mirā sar bhī jāñ-nisāroñ meñ
kabhī kisī ne nahīñ aa.ine ko saaf kiyā
kabhi bichai ghazal to kabhi lihaf kiya
faqir ne isi KHushiyon ko bas ghilaf kiya
musafahe bhi hue aur muanqe bhi rahe
pas-e-KHulus tha kya kis ne inkishaf kiya
pasand aaya to KHush ho ke hath kaT liye
hunar ka yun bhi zamane ne e'tiraf kiya
nazar bacha ke guzarna tera kamal nahin
ye kar-e-nek to sab ne mere KHilaf kiya
dikhai deta mera sar bhi jaan-nisaron mein
kabhi kisi ne nahin aaine ko saf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.