kabhi bund bund sahab mein use dekhna
kabhī buuñd buuñd sahāb meñ use dekhnā
kabhī naġhma naġhma rabāb meñ use dekhnā
kisī kirm-ḳhurda kitāb meñ use DhūñDhnā
kisī bhūlte hue baab meñ use dekhnā
baḌe sahl hoñge milāp jannat-e-ḳhvāb meñ
magar is jahān-e-ḳharāb meñ use dekhnā
vo jo sahm sahm gayā hai shahr-e-panāh meñ
mujhe paañv Daale rikāb meñ use dekhnā
vo ghaḌī ki hāsil-e-umr thī nahīñ bhūltī
kahāñ phir usī tab-o-tāb meñ use dekhnā
kabhi bund bund sahab mein use dekhna
kabhi naghma naghma rabab mein use dekhna
kisi kirm-KHurda kitab mein use DhunDhna
kisi bhulte hue bab mein use dekhna
baDe sahl honge milap jannat-e-KHwab mein
magar is jahan-e-KHarab mein use dekhna
wo jo sahm sahm gaya hai shahr-e-panah mein
mujhe panw Dale rikab mein use dekhna
wo ghaDi ki hasil-e-umr thi nahin bhulti
kahan phir usi tab-o-tab mein use dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.