kabhi charagh-e-sahar ko bhi hum bujhate nahin
kabhī charāġh-e-sahar ko bhī ham bujhāte nahīñ
ki jis se kaam liyā ho use bhulāte nahīñ
ye baat ham ko samajhne meñ der ho ga.ī thī
ki sirf baat pe hī rishtoñ ko nibhāte nahīñ
shurūa se hī takalluf hai un se rishta meñ
salām karte haiñ par haath to milāte nahīñ
bas itnī baat pe rūThā huā hai yaar mirā
maiñ rūThtā bhī huuñ to tum mujhe manāte nahīñ
'zubair' zabt tumhārā kamāl kā hai yaar
tamām zaḳhm ho khāte magar batāte nahīñ
kabhi charagh-e-sahar ko bhi hum bujhate nahin
ki jis se kaam liya ho use bhulate nahin
ye baat hum ko samajhne mein der ho gai thi
ki sirf baat pe hi rishton ko nibhate nahin
shurua se hi takalluf hai un se rishta mein
salam karte hain par hath to milate nahin
bas itni baat pe ruTha hua hai yar mera
main ruThta bhi hun to tum mujhe manate nahin
'zubair' zabt tumhaara kamal ka hai yar
tamam zaKHm ho khate magar batate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.