kabhi dastan-e-hasti ye tamam tak na pahunche
kabhī dāstān-e-hastī ye tamām tak na pahuñche
na fanā se āshnā ho to davām tak na pahuñche
tū pilā mujhe nazar se ki ye jaam tak na pahuñche
kahīñ bāda-e-mohabbat sar-e-ām tak na pahuñche
tū sitam kī qaiñchiyoñ se par-e-ārzū jo kaaTe
koī tā.ir-e-taḳhayyul tire baam tak na pahuñche
mirā vaqt-e-vāpsī hai tū na aa mire sirhāne
ki jafā kī koī tohmat tire naam tak na pahuñche
jo sanam-kade meñ jalva tirā dekh le barahman
tirā naam chhoḌ kar vo kabhī raam tak na pahuñche
tirī ek yaad rangīñ mirī ziist kā sahārā
jo vo sub.h ko na aa.e to ye shaam tak na pahuñche
mirā āḳhirī thā sajda ki nafas ne saath chhoḌā
tire dar pe sar jhukāyā to qiyām tak na pahuñche
mirā kārvān-e-hastī mire sabr hī ne luuTā
kabhī aah bhī jo khīñchī tire naam tak na pahoñche
ġham-e-ishq gar na ho to na ho dil asīr-e-gesū
ki na ho jo daana taa.ir kabhī daam tak na pahuñche
maiñ jhukā huuñ bandagī ko to vo ruḳh phirā rahe haiñ
ki salām rafta rafta ye payām tak na pahuñche
jo naqāb-e-ruḳh ulaT kar kabhī sāmne bhī aaya
jo chaḌhā.e tevaroñ ko ki salām tak na pahuñche
jo pilā de muskurā kar tū jhukī jhukī nazar se
koī haath mai-kade meñ kabhī jaam tak na pahuñche
kabhi dastan-e-hasti ye tamam tak na pahunche
na fana se aashna ho to dawam tak na pahunche
tu pila mujhe nazar se ki ye jam tak na pahunche
kahin baada-e-mohabbat sar-e-am tak na pahunche
tu sitam ki qainchiyon se par-e-arzu jo kaTe
koi tair-e-taKHayyul tere baam tak na pahunche
mera waqt-e-wapsi hai tu na aa mere sirhane
ki jafa ki koi tohmat tere nam tak na pahunche
jo sanam-kade mein jalwa tera dekh le barahman
tera nam chhoD kar wo kabhi ram tak na pahunche
teri ek yaad rangin meri zist ka sahaara
jo wo subh ko na aae to ye sham tak na pahunche
mera aaKHiri tha sajda ki nafas ne sath chhoDa
tere dar pe sar jhukaya to qiyam tak na pahunche
mera karwan-e-hasti mere sabr hi ne luTa
kabhi aah bhi jo khinchi tere nam tak na pahonche
gham-e-ishq gar na ho to na ho dil asir-e-gesu
ki na ho jo dana tair kabhi dam tak na pahunche
main jhuka hun bandagi ko to wo ruKH phira rahe hain
ki salam rafta rafta ye payam tak na pahunche
jo naqab-e-ruKH ulaT kar kabhi samne bhi aaya
jo chaDhae tewaron ko ki salam tak na pahunche
jo pila de muskura kar tu jhuki jhuki nazar se
koi hath mai-kade mein kabhi jam tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.