kabhi dard-ashna tera bhi qalb-e-shadman hoga
kabhī dard-āshnā terā bhī qalb-e-shādmāñ hogā
kabhī nām-e-ḳhudā tū bhī to ai kam-sin javāñ hogā
nahīñ ma.alūm un kī jalva-gah meñ kyā samāñ hogā
nazar jab kāmrāñ hogī to ai dil tū kahāñ hogā
vahī ik saañs mad.hosh-e-hayāt-e-jāvedāñ hogā
jo āh-e-sard ban kar soz-e-ġham kā tarjumāñ hogā
laraz jā.eñge ye mazlūmī-e-dil ke tamāshā.ī
agar ye ḳhaak kā to vo kabhī ātish-fishāñ hogā
jo soz-e-dil se muztar ho ke aa.egā sar-e-mizhgāñ
to ḳhurshīd-e-qayāmat merā ashk-e-ḳhūñ-chakāñ hogā
sitāre ban ke chamkeñge dil-e-barbād ke zarre
ye dil barbād ho kar bhī dalīl-e-kārvāñ hogā
kabhi dard-ashna tera bhi qalb-e-shadman hoga
kabhi nam-e-KHuda tu bhi to ai kam-sin jawan hoga
nahin malum un ki jalwa-gah mein kya saman hoga
nazar jab kaamran hogi to ai dil tu kahan hoga
wahi ek sans madhosh-e-hayat-e-jawedan hoga
jo aah-e-sard ban kar soz-e-gham ka tarjuman hoga
laraz jaenge ye mazlumi-e-dil ke tamashai
agar ye KHak ka to wo kabhi aatish-fishan hoga
jo soz-e-dil se muztar ho ke aaega sar-e-mizhgan
to KHurshid-e-qayamat mera ashk-e-KHun-chakan hoga
sitare ban ke chamkenge dil-e-barbaad ke zarre
ye dil barbaad ho kar bhi dalil-e-karwan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.