kabhi Dhalte hue suraj ka manzar hi nahin dekha
kabhī Dhalte hue sūraj kā manzar hī nahīñ dekhā
tire dil se pare maiñ ne guzar kar hī nahīñ dekhā
batā.ūñ kyā guzartī hai mire bachchoñ ke zehnoñ par
huī muddat talāsh-e-rizq meñ ghar hī nahīñ dekhā
maiñ ā.īna sadā rakhtā huuñ mustaqbil ke manzar kā
kabhī maazī kī jānib maiñ ne muḌ kar hī nahīñ dekhā
na sāhil par na kashtī par koī tohmat rakhī maiñ ne
thā Dar dil meñ talātum kā samundar hī nahīñ dekhā
kamī shāyad hai qismat kī ki āñkhoñ ne mirī ab tak
jise almās kahte haiñ vo patthar hī nahīñ dekhā
kabhi Dhalte hue suraj ka manzar hi nahin dekha
tere dil se pare main ne guzar kar hi nahin dekha
bataun kya guzarti hai mere bachchon ke zehnon par
hui muddat talash-e-rizq mein ghar hi nahin dekha
main aaina sada rakhta hun mustaqbil ke manzar ka
kabhi mazi ki jaanib main ne muD kar hi nahin dekha
na sahil par na kashti par koi tohmat rakhi main ne
tha Dar dil mein talatum ka samundar hi nahin dekha
kami shayad hai qismat ki ki aankhon ne meri ab tak
jise almas kahte hain wo patthar hi nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.